• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Ek Aur Sharabi Sham

Ek Aur Sharabi Sham

darshika-wasani

chalo aaj ek aur koshish hogi

phir ek shaam duub jaegi sharab men

zindagi ke andhere sard tukde

jaam men ghul kar honthon ke havale honge

zaban pe thirakti tishnagi dhire dhire

halq tak phail jaegi

khamoshi ka libas pahne

kone men qaid tanhai riha hogi

aur nas nas men daud kar raqs karegi

mere lahu men bah rahe us be-qabu shakhs ko

sambhalne ki mashaqqat hogi

sulagti ruuh us ki yadon ki bhaap men

tap kar surkh laal ho jaegi

ankhon se garm bulbule tapakne lagenge

jam-dar-jam andaruni ubaal

pighalta jaega

jab ankhon ke paimane bilkul khali ho jaenge

tab us laal bistar par

meri ninden tumhare khvabon ko

aghosh men le kar so jaegi

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Kuchh Bhi Kar Pae Na Hum Hijr Ki Hairani Mein

poet

Kya KHak Kahun Matlab-E-Dildar Ke Aage

MULLA JAMI

Ba Yar Ba-Gulzar Shudam Rah-Guzri

Mar Jaenge Tum Bin Hum Aasani Se

poet

Mushkilen Khaal Khaal Chahte Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet