guzarte din ke dukhon ka pata to deta tha
vo shaam Dhalne se pahle sada to deta tha
hujum-e-kar men pal bhar bhi ik bahane se
vo apne qurb ka jaadu jaga to deta tha
sharik-e-rah tha vo ham-safar na tha phir bhi
qadam qadam pe mujhe hausla to deta tha
mujhi ko milti na thi fursat-e-pazira.i
vo apne sach ka mujhe aa.ina to deta tha
vo chand aur kisi asman ka tha lekin
ufuq ufuq ko mire jagmaga to deta tha
main us ki aanch men tap kar na ho saka kundan
vo apne shola-e-jan ki hava to deta tha
Leave a Reply