dil bhi aap ko bhuul chuka hai
sahab aap se parda kya hai
kahne sunne ki baten hain
kaun kise apna sakta hai
ishq men kya sachcha kya jhuta
ye to umron ka rona hai
haal hamara puchhne vaale
kya batlaen sab achchha hai
kya kya baat na ban sakti thi
lekin ab kya ho sakta hai
ab bhi dil ke darvaze par
ek diya jalta rahta hai
kab tak saath nibhata akhir
vo bhi duniya men rahta hai
duniya par kyuun dosh dharen ham
apna dil bhi kab apna hai
Leave a Reply