ḳhvab-zadon ka dukh zamini hai
ye haqiqat baḌi kamini hai
ai ḳhuda-e-guman koi tajviz
ma.arka ab koi yaqini hai
pattharon ke mizaj men shamil
abginon pe nukta-chini hai
vo mare samne se uTh jaa.e
jis ka maqsad tamash-bini hai
ghar ki taz.in men sar-e-fehrist
ek aurat ki nukta-chini hai
ek pal ke jamal men yakja
ka.i sadiyon ki dil-nashini hai
Leave a Reply