• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tarab-Zaron Pe Kya Biti Sanam-Khanon Pe Kya Guzri

Tarab-Zaron Pe Kya Biti Sanam-Khanon Pe Kya Guzri

sahir-ludhianvi

tarab-zaron pe kya biiti sanam-khanon pe kya guzri

dil-e-zinda tire marhum armanon pe kya guzri

zamin ne khuun ugla asman ne aag barsai

jab insanon ke dil badle to insanon pe kya guzri

hamen ye fikr un ki anjuman kis haal men hogi

unhen ye gham ki un se chhut ke divanon pe kya guzri

mira ilhad to khair ek laanat tha so hai ab tak

magar is alam-e-vahshat men imanon pe kya guzri

ye manzar kaun sa manzar hai pahchana nahin jaata

siyah-khanon se kuchh puchho shabistanon pe kya guzri

chalo vo kufr ke ghar se salamat aa gae lekin

khuda ki mumlikat men sokhta-janon pe kya guzri

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hawaon Ka Jo Shah-Par Bolta Hai

Shiddat-E-Shauq Asar-KHez Hai Jadu Ki Tarah

KHud-Agahi Ka Ajab Rog Lag Gaya Hai Mujhe

poet

Hai Aaftab Aur Mere dil Ka dagh Ek

Meri Sari Kamai Lene Lagin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet