• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Azizo Isko Na Ghadiyal Ki Sada Samjho

Azizo Isko Na Ghadiyal Ki Sada Samjho

sheikh-ibrahim-zauq

azizo is ko na ghadiyal ki sada samjho

ye umr-e-rafta ki apni sada-e-pa samjho

baja kahe jise aalam use baja samjho

zaban-e-khalq ko naqqara-e-khuda samjho

na samjho dasht shifa-khana-e-junun hai ye

jo khaak si bhi pade phankni dava samjho

samajh tu kor-savadon ko ho jo ilm na ho

agar samajh bhi na ho kor-e-be-asa samjho

pade kitab ke qisson men kya karo dil saaf

safa ho dil to ba-az rauzatus-safa samjho

hanse jo vo mire rone pe to saf-e-mizhgan

na samjho tum use divar-e-qahqaha samjho

nafas ki amad-o-shud hai namaz-e-ahl-e-hayat

jo ye qaza ho to ai ghafilo qaza samjho

tumhari raah men milte hain khaak men lakhon

is aarzu men ki tum apna khak-e-pa samjho

duaen dete hain ham dil se tegh-e-qatil ko

lab-e-jarahat-e-dil ko lab-e-dua samjho

baha diya mira khuun us ne apne kuche men

usi ko yaaro diyat samjho khun-baha samjho

samajh hai aur tumhari kahun main tum se kya

tum apne dil men khuda jaane sun ke kya samjho

tumhen hai naam se kya kaam misl-e-aina

jo ru-ba-ru ho use surat-ashna samjho

zahe nasib ki hangam-e-mashq tir-e-sitam

hamare dher ko tum to vo khaak ka samjho

nahin hai kam zar-e-khalis se zardi-e-rukhsar

tum apne ishq ko ai ‘zauq’ kimiya samjho

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Main Uske Wasl Se Jaga to Silsila Tha Wahi

poet

Beja Na Tha uTh baiThna Bechaini Se Mera

fahmida-riaz

Abad

aal-e-ahmad-suroor

dil-dadgan-E-Lazzat-E-Ijad Kya Karen

Us Samt Mujhko Yar Ne Jaane Nahin Diya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet