ehtimam-e-rang-o-bu se gulistan paida karen
aao mil-jul kar bahar-e-be-ḳhizan paida karen
kyuun sukut-e-be-mahal se dastan paida karen
dida-o-danista apne razdan paida karen
raas aa sakta hai mir-e-karvan banne ka ḳhvab
shart ye hai pahle apna karvan paida karen
kar-ara.i to ḳhud hai hasil-e-takmil-e-kar
dil men kya andesha-e-sud-o-ziyan paida karen
apna e’ajaz-e-tasavvur dekhne ki chiiz hai
ham jo chahen to makan men la-makan paida karen
vaqt ko zid hi badal do rasm-e-arz-e-mudda.a
dil ye kahta hai ki hangama kahan paida karen
aap ki marzi ka hai paband-e-rang-e-gulistan
aap chahen to bahar-e-javedan paida karen
ruuh par haavi na ho jaa.e faza-e-sogvar
ham gham-e-dil se nishat-e-javedan paida karen
koshish-e-tamir ki taḳhrib-saman.i na puchh
ashiyan-bardar shaḳhen bijliyan paida karen
haan sikha den rang-e-ruḳh ko a.ina-dari ka fan
bahr-e-arz-e-mudda.a ham tarjuman paida karen
phir bulata tuun ke ye tevar kahan baaqi ‘uruj’
hal-e-dil kah kar javab-e-darmiyan paida karen
Leave a Reply