duur baiTha hua tanha sab se
jaane kya soch raha huun kab se
apni ta.id bhi dushvar hui
aa.ina TuuT gaya hai jab se
ghar se niklun to mana kar la.un
vo tabassum jo ḳhafa hai lab se
mere alfaz vahi hain lekin
mera mafhum juda hai sab se
jab se azad kiya hai us ne
har nafas ek saza hai tab se
Leave a Reply