kaThin halat men apne iradon ko javan rakhna
hamen aata hai dil men sho.ala-e-gham ko nihan rakhna
akele ghar men kaise vaqt kaTo.ge tan-e-tanha
koi tasvir laTka kar sar-e-divar-e-jan rakhna
hamari fikr tum chhoḌo hamen ye kaam aata hai
andheron men basar karna nazar men kahkashan rakhna
ajal aur zindagi ki dosti ik harf-e-batil hai
bahut dushvar hai paani pe buniyad-e-makan rakhna
chaman par ek din fasl-e-ḳhizan ka raaj bhi hoga
abas hai dil men arman-e-bahar-e-javedan rakhna
na jaane is men poshida hain us ki hikmaten kya kya
hamesha gardishon men ye zamin-o-asman rakhna
kahan asan hai ahl-e-suḳhan ki bhiiḌ men ‘shahid’
juda auron se apna tarz-e-guftar-o-bayan rakhna
Leave a Reply