main roz-e-hijr ko barbad karta rahta huun
shab-e-visal hi ko yaad karta rahta huun
meri ye ungliyan key-pad par thirakti hain
ḳhayal ke parind azad karta rahta huun
main apne chahne valon se kya kahun ki unhen
na chahte hue nashad karta rahta huun
faqat dua.en miri dastaras men hain so main
faqat duaon ki imdad karta rahta huun
aur is tarah se miri shab guzar bhi jaati hai
sahar ko shaam se irshad karta rahta huun
Leave a Reply