duniya se, jis se aage ka socha nahin gaya
ham se vahan pahunch ke bhi Thahra nahin gaya
ankhon pe aisa vaqt bhi guzra hai bar-ha
vo dekhna paḌa hai jo dekha nahin gaya
paḌhvana chahte the nujumi se ham vahi
ham se qadam zamin pe rakkha nahin gaya
naqshe men aaj DhunDne baiTha huun vo zamin
jis ko hazar TukḌon men banTa nahin gaya
ab kya kahen nujumi ke baare men chhoḌiye
apna to ye baras bhi kuchh achchha nahin gaya
Leave a Reply