duniya men yuun to har koi apni si kar gaya
zinda hai us ka naam kisi par jo mar gaya
sub.h-e-shab-e-visal hai a.ina haath men
sharma ke kah rahe hain ki chehra utar gaya
saaqi ki baḌh chali hain jo be-iltifatiyan
shayad hamari umr ka paimana bhar gaya
itna to jante hain ki pahlu men dil nahin
us ki ḳhabar nahin ki kahan hai kidhar gaya
ham se jo aap ruuTh ke jaate hain ja.iye
sun lijiyega zahr koi kha ke mar gaya
jaata raha shabab to kuchh sujhne lagi
ankhen khulin sharab ka nashsha utar gaya
naseh kahan ka chheḌ diya tu ne aa ke zikr
us ka ḳhayal phir mujhe bechain kar gaya
do din men ye mizaj ki halat badal ga.i
kal sar chaḌha tha aaj nazar se utar gaya
achchha hua jo aap ayadat ko aa ga.e
sar ka ye ek bojh tha vo bhi utar gaya
tere mariz-e-hijr ka ab to ye haal hai
aaya jo dekhne ko vo ba-chashm-e-tar gaya
chheḌa kisi ne zikr-e-mohabbat jo ai ‘hafiz’
dil par ajiib tarah ka sadma guzar gaya
Leave a Reply