haath aa kar laga gaya koi
mera chhappar utha gaya koi
lag gaya ik mashin men main bhi
shahr men le ke aa gaya koi
main khada tha ki piith par meri
ishtihar ik laga gaya koi
ye sadi dhuup ko tarasti hai
jaise suraj ko kha gaya koi
aisi mahngai hai ki chehra bhi
bech ke apna kha gaya koi
ab vo arman hain na vo sapne
sab kabutar uda gaya koi
vo gae jab se aisa lagta hai
chhota mota khuda gaya koi
mera bachpan bhi saath le aaya
gaanv se jab bhi aa gaya koi
Leave a Reply