duniya ki rivayat se begana nahin huun
chhedo na mujhe main koi divana nahin huun
is kasrat-e-gham par bhi mujhe hasrat-e-gham hai
jo bhar ke chhalak jaae vo paimana nahin huun
rudad-e-gham-e-ishq hai taaza mire dam se
unvan-e-har-afasana huun afsana nahin huun
ilzam-e-junun den na mujhe ahl-e-mohabbat
main khud ye samajhta huun ki divana nahin huun
main qael-e-khuddari-e-ulfat sahi lekin
adab-e-mohabbat se to begana nahin huun
hai barq-e-sar-e-tur se dil shola-ba-daman
sham-e-sar-e-mahfil huun main parvana nahin huun
hai gardish-e-saghar miri taqdir ka chakkar
mohtaj-e-tavaf-e-dar-e-mai-khana nahin huun
kanton se guzar jaata huun daman ko bacha kar
phulon ki siyasat se main begana nahin huun
lazzat-kash-e-nazzara ‘shakil’ apni nazar hai
mahrum-e-jamal-e-rukh-e-janana nahin huun
Leave a Reply