duniya-e-gham ko zer-o-zabar kar sake to kar
rahmat ki mujh pe ek nazar kar sake to kar
ai dil tu aisi aah agar kar sake to kar
duniya udhar ki aaj idhar kar sake to kar
ai ah-e-barq-rez tujhe rokta hai kaun
us be-ḳhabar ko meri ḳhabar kar sake to kar
mash.hur hai ki ishq ki rahen hain ḳhaufnak
himmat se pahle puchh safar kar sake to kar
aariz hain tere zulfen bhi teri kisi se kya
ik ja pe jam.a sham-o-sahar kar sake to kar
nadan hadis-e-ishq ke ma.ani kuchh aur hain
qaabu men dil ko apne agar kar sake to kar
ai aah tu hi hausla apna nikal le
us sang-dil ke dil pe asar kar sake to kar
‘alim’ jahan-e-ishq ki dushvariyan na puchh
dil ko jo razdar-e-jigar kar sake to kar
Leave a Reply