• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dubne Walo Hawaon Ka Hunar Kaisa Laga

Dubne Walo Hawaon Ka Hunar Kaisa Laga

Dubne vaalo havaon ka hunar kaisa laga

ye kinara ye samundar ye bhanvar kaisa laga

ponchhte ja.iye daman se lahu mathe ka

sochte ja.iye divar ko sar kaisa laga

haT ga.i chhanv magar log vahin baiThe hain

dasht ki dhuup men jaane vo shajar kaisa laga

dar-o-divar hain main huun miri tanha.i hai

chandni raat se puchho mira ghar kaisa laga

is se pahle kabhi ponchhe the kisi ne aansu

un ka daman tujhe ai dida-e-tar kaisa laga

sahl thiin marhala-e-tark-e-vafa tak rahen

is se aage koi puchhe ki safar kaisa laga

aankh se dekh liya tark-e-vatan ka manzar

ghar jahan chhoḌ ga.e the vo khanDar kaisa laga

vo mujhe sun ke baḌi der se chup hai ‘qaisar’

jaane us ko miri ghazlon ka hunar kaisa laga

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Sar-E-Kakul Ko Na O shoKH-E-Trahdar Tarash

Gham Ka Dariya Sukh Na Jae Uski Rawani Kam Na paDe

poet

Zikr-E-Ifa Kuchh Nahin Wada Hi Wada Humse Hai

asrarul-haq-majaz

Nazr-E-dil

Naumid Kare Dil Ko Na Manzil Ka Pata De

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet