
Zafar Moradabadi
ḳhush-guman har aasra be-asra sabit hua
zindagi tujh se ta.alluq khokhla sabit hua
jab shikayat ki kabida-ḳhatiri hasil hui
sabr-e-mahrumi mira harf-e-dua sabit hua
be-talab milti rahen yuun to hazaron nematen
the talab ki aas men barham to kya sabit hua
ru-ba-ru hote hue bhi ham rahe manzil se duur
ik ana ka mas.ala zanjir-e-pa sabit hua
aah bhar kar chal diye sab hi tamasha dekh kar
vaqt par jo DaT gaya vo devta sabit hua
TuuT kar bikhra mire dil se yaqin ka aa.ina
main use samjha tha kya lekin vo kya sabit hua
saans jo aaya badan men tha vafa se ham-kanar
aur jab vapas hua to bevafa sabit hua
sar ke shaida.i bahut mayus mahfil se uThe
jab ‘zafar’ jaisa suḳhan-var be-nava sabit hua

Leave a Reply