jabr ne jab mujhe rusva sar-e-bazar kiya
sabr ne mere mujhe sahab-e-dastar kiya
meri lafzon ki imarat giri kaam aa.i mire
meri ghazlon ne mire naam ko minar kiya
apne hathon men kudurat ki kudalen le kar
mere apnon ne miri zaat ko mismar kiya
yaad jab aaya koi va.ada-e-ta.amir mujhe
main ne tab jism ki har por ko me.amar kiya
aur phir sabz ishara hua us paar se jab
main ne ik jast men dariya-e-bala paar kiya
aaj phir ḳhaak bahut roi lipaT kar mujh se
aaj phir qabr ne baaba ki mujhe pyaar kiya
chand ne raat mire saath mire dukh banTe
sub.h suraj ne bhi girya sar-e-divar kiya
aag ashjar ko lagne se ka.i din pahle
main ne ro ro ke parindon ko ḳhabar-dar kiya
aisa matam kabhi dariya ka na dekha na suna
jaane kis pyaas ne paani ko aza-dar kiya
jab hava dene lagi ThanDe dilase mujh ko
kuchh charaghon ne bhi afsos ka iz.har kiya
dekh kar jalti hui jhonpaḌi kal shab ‘vasif’
main ne so.e hue darvesh ko bedar kiya
Leave a Reply