dosti chaah dili mehr-o-mohabbat guzri
sidhe munh baat bhi karta nahin rut guzri
ek misra jo padha vasf-e-qad-e-yar men ham
sarv ke sar pe gulistan men qayamat guzri
ham-nashin puchh na kuchh chup hi bhali hai us se
shab-e-furqat men jo kuchh ham pe saubat guzri
subh ko naam kisi ne jo liya is ka yahan
dil-e-mushtaq pe be-tarah ki halat guzri
aankh ham se jo milata nahin vo aina-ru
khaksaron se ye kya dil men kudurat guzri
kabhu ladta tha kabhu hans ke lipat jaata tha
kyuun ‘nisar’ us se ajab raton ki sohbat guzri
Leave a Reply