dost jab dil sa ashna hi nahin
ab hamen ghair ka gila hi nahin
jis ka dil dard-ashna hi nahin
us ke jiine ka kuchh maza hi nahin
ek dam ham se vo juda hi nahin
gar juda ho to vo khuda hi nahin
ashnai pe us ki mat jaana
le ke dil phir vo ashna hi nahin
khaak chhani jahan ki lekin
dil-e-gum-gashta ka pata hi nahin
laakh mashuq hain jahan men magar
aah vo naaz vo ada hi nahin
sai-e-be-faeda hai charagaro
maraz-e-ishq ki dava hi nahin
dard-e-dil un se ham kaha hi kiye
par unhon ne kabhi suna hi nahin
sar phirata hai kyuun abas naseh
mera kahne men dil raha hi nahin
ab vo aae to aaen kya hasil
taqat-e-arz-e-muddaa hi nahin
main to kya gosh-e-charkh ne bhi ‘aish’
aisa bedad-gar suna hi nahin
Leave a Reply