donon apne kaam ke mahir donon baḌe zahin
saanp hamesha phan lahra.e aur sapera biin
gurg vahan koi sar nahin karta aahu par banduq
us basti ko jangal kahna jangal ki tauhin
soḳhtagan ki bazm-e-suḳhan men sadr-nashin aaseb
chiḳhon ke sad ghazlon par sannaTon ki tahsin
fitna-e-shab ne ḳhatm kiya sab ankhon ka azar
saare ḳhvab haqiqat ban ga.e saare vahm yaqin
ham bhi patthar tum bhi patthar sab patthar Takrao
ham bhi TuTen tum bhi TuuTo sab TuTen amin
Leave a Reply