divar-o-dar men simta ik lams kanpta hai
bhule se koi dastak de kar chala gaya hai
sabr o shakeb baaqi taab o tavan salamat
dil misl-e-ud jal jal khushbu bikherta hai
ham khaak ho chuke the apni hi hiddaton men
mitti hai raakh phir se paikar naya bana hai
ik zakhm zakhm chehra tukdon men haath aaya
aur ham samajh rahe the aina jud gaya hai
sahra-e-nim-shab men be-as reton par
din bhar ke kusht o khuun ka maara tadap raha hai
dahshat-zada zamin par vahshat bhare makan ye
is shahr-e-be-aman ka akhir koi khuda hai
mil jaae ablon ko dad-e-musafirat ab
ab dard-e-be-navai kuchh had se bhi siva hai
ham par to khul chuka bhi dar band har bala ka
kya janiye ajal ko ab intizar kya hai
gul-chiniyon ka ham se ‘bilqis’ haal puchho
angusht-e-arzu men kanta utar gaya hai
Leave a Reply