dini hain sab koi raati nahin hai
andheron ka koi sathi nahin hai
to kya be-ḳhvab hi rah ja.unga main
mujhe to niind hi aati nahin hai
ki har bimar un ankhon se dava paa.e
shifa-ḳhana ye ḳhairati nahin hai
laga hai kitna sarmaya zaban ka
ye kar-e-sha.iri zaati nahin hai
tarashi ja chuki ummid ki lau
diya jalta hua baati nahin hai
sada jaati to hai us ki gali men
vahan se le ke kuchh aati nahin hai
akele paḌ ga.e ham karvan men
ki ab ke vo mira sathi nahin hai
lage hain saare sazinde badan ke
magar ye ruuh naghmati nahin hai
rahega be-badan hi ‘farhat-ehsas’
hava par koi deh aati nahin hai
Leave a Reply