diin shaikh o barhaman ne kiya yaar faramosh
ye subha faramosh vo zunnar faramosh
dekha jo haram ko to nahin dair ki vusat
is ghar ki faza kar gaya meamar faramosh
bhule na mire dil se mira misra-e-jan-kah
naala na kare murgh-e-giraftar faramosh
dil se na gai aah havas sair-e-chaman ki
aur ham ne kiya rakhna-e-divar faramosh
ya naala hi kar mana tu ya girye ko naseh
do chiiz na ashiq se ho yak-bar faramosh
bhula phirun huun aap ko ik umr hai lekin
tujh ko na kiya dil se main zinhar faramosh
dil dard se kis tarah mira khali ho ‘sauda’
vo nashunav-e-harf men guftar faramosh
Leave a Reply