din kaT rahe hain kashmakash-e-rozgar men
dam ghuT raha hai saya-e-abr-e-bahar men
aati hai apne jism ke jalne ki bu mujhe
luTte hain nik.haton ke subu jab bahar men
guzra udhar se jab koi jhonka to chaunk kar
dil ne kaha ye aa ga.e ham kis dayar men
main ek pal ke ranj-e-faravan men kho gaya
murjha ga.e zamane mire intizar men
hai kunj-e-afiyat tujhe pa kar pata chala
kya hamhame the gard-e-sar-e-rah-guzar men
Leave a Reply