jaan tan ka saath de na to dil hi vafa kare
kya rah gaya hai jis ka koi tazkira kare
sab dekh sun chuka magar ab bhi safar men huun
qadmon ko kaun rahguzar se juda kare
ashuftagi ka meri pata de mira mazar
ik gard-bad roz vahan se uTha kare
muddat hui ki bhuul gaya mujh ko shahr-e-yar
chup lag ga.i mujhe to vo bechara kya kare
tark-e-safar pe raah se ye bad-dua mili
bistar men tere paanv ka talva jala kare
sakta sa lag gaya hai mire yaar ko ‘suhail’
ankhen hain ashk-bar na dil hi dua kare
Leave a Reply