din Dhala jaata hai shaam aati hai ghabrata huun main
Dubta jaata hai suraj Dubta jaata huun main
ik Thikana tha jahan bahla liya karta tha dil
aaj us mahfil ko bhi zer-o-zabar paata huun main
aa ga.i hai yaad aaj apne dil-e-marhum ki
saari duniya sog men Duubi hui paata huun main
meri guzri zindagi avaz deti hai mujhe
ai mughanni band kar naghma ki ghabrata huun main
rafta rafta ishq is manzil men laaya hai mujhe
dard uThta hai kisi ko aur taḌap jaata huun main
tum vahi mahfil vahi mahfil ki ra.ana.i vahi
in dinon kuchh apne hi ko dusra paata huun main
ye safedi hai sahar ki ya tamanna ka kafan
haa.e kya paana tha kya vaqt-e-sahar paata huun main
raushni deta huun sab ko ik bujhe dil se ‘nazir’
apni sard aahon se har mahfil ko garmata huun main
Leave a Reply