dimagh-o-dil pe ho kya asar andhere ka
ki dida-var bhi hai ab ham-safar andhere ka
dayar-e-nur men har samt ḳhaak uḌne lagi
vajud hone laga mo’atabar andhere ka
ye rasta to charaghon se jagmagata hai
idhar se hone laga kyuun guzar andhere ka
ab is ke phulne-phalne men din hi kitne hain
jaḌen jama to chuka hai shajar andhere ka
yahan to raushniyon ka paḌav hota hai
to kya yahin pe basega nagar andhere ka
sisakti sham.on ka ye aḳhiri Thikana hai
shurua hoga yahin se safar andhere ka
basiraton ke amiin hain hamin magar ham ne
basa liya hai rag-o-pai men Dar andhere ka
manao ḳhair ujalon ke bam-o-dar vaalo
faza men raqs-kunan hai sharar andhere ka
vo apne saath to le kar charagh chalte the
shikar kyuun hue ahl-e-nazar andhere ka
Leave a Reply