main na samjha bulbul be-bal-o-par ne kya kaha
gosh-e-gul men qasid-e-bad-e-sahar ne kya kaha
nazaa ke dam bhi zi-bas laila ko maane tha hijab
chupke chupke roi aur us nauhagar ne kya kaha
tere vahshi se abas tujh ko khafa karte hain log
sab ye baten jhuth thiin us be-khabar ne kya kaha
sainkadon ranginiyan paida kiin us ne vaqt-e-qasd
khun-e-majnun se zaban-e-neshtar ne kya kaha
nama-bar ko galiyan diin us ne sun kar mera naam
munh ko takta rah gaya aur nama-bar ne kya kaha
ho gaya us ko pahan kar aur bhi maghrur vo
kaan men us shokh ke silk-e-guhar ne kya kaha
jodna un ka nihayat ai ‘havas’ dushvar tha
dil ke tukde dekh mere shishagar ne kya kaha
Leave a Reply