dilon ki or dhuan sa dikhai deta hai
ye shahr to mujhe jalta dikhai deta hai
jahan ki daagh hai yaan aage dard rahta tha
magar ye daagh bhi jaata dikhai deta hai
pukarti hain bhare shahr ki guzargahen
vo roz shaam ko tanha dikhai deta hai
ye log tuuti hui kashtiyon men sote hain
mire makan se dariya dikhai deta hai
khizan ke zard dinon ki siyah raton men
kisi ka phuul sa chehra dikhai deta hai
kahin mile vo sar-e-rah to lipat jaaen
bas ab to ek hi rasta dikhai deta hai
Leave a Reply