dil vo kisht-e-arzu tha jis ki paima.ish na ki
sair-e-duniya ke siva ham ne koi ḳhvahish na ki
motiyon se chashm-o-jan ko a.ina-ḳhana kiya
siip ke TukḌon se bam-o-dar ki ara.ish na ki
kis ko fursat thi ki sunta us safar ka majra
jab usi manzil-nashin ke honT ne jumbish na ki
us ne jo bhi ruup dhara us ne jo bhi dukh diya
aadmi banne ki ham ne us se farma.ish na ki
kuchh qalam-bandi se mujh ko aar tha varna ‘na.im’
kab mire abr-e-nigah ne fikr ki barish na ki
Leave a Reply