• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dil Wale Hain Hum Rasm-E-Wafa Humse Mili Hai

Dil Wale Hain Hum Rasm-E-Wafa Humse Mili Hai

dil vaale hain ham rasm-e-vafa ham se mili hai

duniya men mohabbat ko baqa ham se mili hai

vo ḳhanda-ba-lab zikr-e-gulistan pe ye bole

ghunchon ko tabassum ki ada ham se mili hai

sadiyon se taraste hue kanon men jo pahunchi

tariḳh se puchho vo sada ham se mili hai

ham vo hain ki ḳhud phunk diye apne nasheman

gulshan ke andheron ko ziya ham se mili hai

kya ek hi mehvar pe hai Thahri hui duniya

vo jab bhi mili hai to ḳhafa ham se mili hai

vo but jo ḳhuda aaj bane baiThe hain un ko

ye shan-e-ḳhuda.i ba-ḳhuda ham se mili hai

ham Thahre hain tufan-e-havadis ke muqabil

baḌh baḌh ke gale mauj-e-bala ham se mili hai

sikha hai jalane ka chalan sham.a ne tum se

parvanon ko jalne ki ada ham se mili hai

ham ahl-e-mohabbat hain lahu dete hain ‘rahi’

be-nur charaghon ko ziya ham se mili hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Dhimi Barish Ki Lai Mein Ahwal Sunate Rahna

ahmad-husain-mail

Ashk Aae Gham-E-Shah Se Jo Chashm-E-Tar Mein

Mujhe Is Tarah Na Dekho Mera Dil Machal Na Jae

taKHliq Kise Kahte Hain Hai Azmat-E-Fan Kya

kaifi-azmi

Nae Khake

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet