Dil to Ek shaKHs Ko naKHchir Banane Mein Gaya

dil to ik shaḳhs ko naḳhchīr banāne meñ gayā

sāz-e-dil naġhma-e-dil-gīr banāne meñ gayā

raat ik ḳhvāb jo dekhā to huā ye mālūm

din bhī us ḳhvāb kī tasvīr banāne meñ gayā

partav-e-ḳhāna-e-mauhūm ġhanīmat thā magar

vo bhī ik naqsha-e-tāmīr banāne meñ gayā

ruuh to ruuh hai kuchh bas nahīñ is par lekin

ye badan ḳhaak ko iksīr banāne meñ gayā

yaar to dirham o dīnār banāne meñ ga.e

aur maiñ ishq kī jāgīr banāne meñ gayā

sher tāsīr se ḳhālī huā vaqt-e-tābīr

nafs-e-mazmūn bhī taqrīr banāne meñ gayā

Leave a Comment