us ra.unat se vo jiite hain ki marna hi nahin
taḳht par baiThe hain yuun jaise utarna hi nahin
yuun mah-o-anjum ki vaadi men uḌe phirte hain vo
ḳhaak ke zarron pe jaise paanv dharna hi nahin
un ka da.ava hai ki suraj bhi unhi ka hai ghulam
shab jo ham par aa.i hai us ko guzarna hi nahin
kya ilaaj us ka agar ho mudda.a un ka yahi
ehtimam rang-o-bu gulshan men karna hi nahin
zulm se hain barsar-e-paikar azadi-pasand
un pahaḌon men jahan par koi jharna hi nahin
dil bhi un ke hain siyah ḳhurak-e-zindan ki tarah
un se apna gham bayan ab ham ko karna hi nahin
intiha kar len sitam ki log abhi hain ḳhvab men
jaag uTThe jab log to un ko Thaharna hi nahin
Leave a Reply