kam ranj mausam-e-gul-e-tar ne nahin diya
dil ke kisi bhi zaḳhm ko bharne nahin diya
saare hi mustafiz hue us ki zaat se
ham ko hi ek phal bhi shajar ne nahin diya
murjha ga.i hai talḳhi-e-halat se magar
kam hai ki ham ne yaad ko marne nahin diya
jalta charagh-e-dil shab-e-hijran men der tak
mauqa.a magar numud-e-sahar ne nahin diya
maḳhsus thi bas us ke liye dil ki guzar
ham ne kisi ko yaan se guzarne nahin diya
ham par zamin ka ek sitara hai multafit
ruḳh par ye nuur shams-o-qamar ne nahin diya
kuchh to charagh-e-zist ki lau bhi thi na-tavan
aur kuchh hava ne us ko ubharne nahin diya
ham bhi the zindagi se gurezan tamam raah
shane pe haath is ne bhi dharne nahin diya
Leave a Reply