dil se hai bahut gurez-pa tu
tu kaun hai aur hai bhi kya tu
kyuun mujh men ganva raha hai khud ko
mujh aise yahan hazar-ha tu
hai teri judai aur main huun
milte hi kahin bichhad gaya tu
puchhe jo tujhe koi zara bhi
jab main na rahun to dekhna tu
ik saans hi bas liya hai main ne
tu saans na tha so kya hua tu
hai kaun jo tera dhyan rakhe
bahar mire bas kahin na ja to
Leave a Reply