dil se be-sud aur jaan se ḳharab
ho raha huun kahan kahan se ḳharab
gham ki dahliz hai bhali kitni
koi uThta nahin yahan se ḳharab
main mira aks aur a.ina
ye nazara tha darmiyan se ḳharab
ḳhud ko ta.amir karte karte main
ho gaya huun yahan vahan se ḳharab
raushni ik haqir taare ki
aa ga.i ho ke kahkashan se ḳharab
zer-e-lab rakh chhupa ke naam us ka
lafz hote hain kuchh bayan se ḳharab
ek muddat se huun main munkir-e-ishq
aa mujhe kar de apni haan se ḳharab
rang nikhre hain phir vahin pe ‘bakul’
meri tasvir thi jahan se ḳharab
Leave a Reply