dil par kisi ki baat ka aisa asar na tha
pahle main is tarah se kabhi dar-ba-dar na tha
charon taraf the dhuup ke jangal hare-bhare
sahra men koi mere alava shajar na tha
taare bhi shab ki jhiil men gharqab ho ga.e
meri udasiyon ka koi ham-safar na tha
furqat ki aanch thi na tiri yaad ki tapish
dil sard paḌ raha tha kahin ik sharar na tha
kal shab na jaane kaun se gham the ufaan par
ashkon se is qadar main kabhi tar-ba-tar na tha
Leave a Reply