dil par dhaḌkan dhaḌkan par vahm utare jaate hain
ham apne hi ḳhauf ke hathon maare jaate hain
dekhun to a.ine ka zangar sulagta hai
band karun to ankhon ke angare jaate hain
DhunD rahe hain kab se apne lahje ka tiryak
lafz hamare ham par hi phunkare jaate hain
na.e parinde na.i uḌanen na.i sahar ke giit
bedaron par raushan ḳhvab utare jaate hain
adarshon ki Daar ka pichha karte galla-ban
apne ḳhvabon ki sarhad par maare jaate hain
dad-faroshi kasa-lesi bar-e-shanasa.i
mahfil mahfil kya kya qarz utare jaate hain
Leave a Reply