dil men yuun pyaar ki ik taaza kahani mahke
jaise angan men kahin rat-ki-rani mahke
main ne lafzon ko kahan us ki taraf moḌa hai
zikr aa jaa.e jo us ka to kahani mahke
sar se pa tak use ḳhushbu ka ḳhazana kahiye
baiThe dariya men utar jaa.e to paani mahke
gham ki sadiyon ki amanat hai ghazal ki tahzib
‘mir’ ke ba.ad usi rang men ‘fani’ mahke
is ko kahte hain mohabbat ka karishma ‘mansur’
meri ghazlon men mira dushman-e-jani mahke
Leave a Reply