charagh-e-ḳhvab-e-shikasta ki lau hai maddham dekh
kabhi to aa miri tanha.iyon ka aalam dekh
javaz DhunD rahi hain ka.i nigahen yahan
ye teri marzi hai tu chahe mujh ko kam-kam dekh
hamare shahr men sachcha.iyan muqayyad hain
yaqin na aa.e to chal a.inon ka matam dekh
abhi Thahar ai janaza paḌhane vaale shaḳhs
badan ke malbe ke niche dabe hue gham dekh
yahan bhi mas.ala bai.at ka hi raha hoga
lahu men Duube hue hain hazaron parcham dekh
yahan ke logon se ummid rakh vafaon ki
yahan ik arse se badle nahin hain mausam dekh
kabhi bhula to diya tha use magar ‘afaq’
palak jhapakte hi kyuun aankh ho ga.i nam dekh
Leave a Reply