dil men ye ek Dar hai barabar bana hua
miTTi men mil na jaa.e kahin ghar bana hua
ik lafz bevafa kaha us ne phir is ke ba.ad
main us ko dekhta raha patthar bana hua
jab ansuon men bah ga.e yadon ke saare naqsh
a.ankhon men kaise rah gaya manzar bana hua
lahro! batao tum ne use kyuun miTa diya
ḳhvabon ka ik mahal tha yahan par bana hua
vo kya tha aur tum ne use kya bana diya
itra raha hai qatra samundar bana hua
Leave a Reply