jo suraj ho to har manzar ujala kyuun nahin karte
ye aThon pahr ki raten savera kyuun nahin karte
ta.ajjub hai mujhi ko apni mahfil men nahin dekha
nahin dekha agar tum ne to dekha kyuun nahin karte
churata hai vo pahle niind phir shoḳhi se kahta hai
ye shab bhar jagte rahte ho soya kyuun nahin karte
hisab-e-dostan ai dil ḳhayal-e-nek hai lekin
tumhare paas bhi dil hai tum aisa kyuun nahin karte
mire bhaa.i agar tairak banna chahte ho tum
to dariya ke kinare se kinara kyuun nahin karte
uTha kar roz le jaata hai mere ḳhvab ka manzar
vo mujh se roz kahta hai bharosa kyuun nahin karte
to din ko ishq ki baten samajh hi men nahin aa.en
samajh hi men nahin aa.iin to samjha kyuun nahin karte
dilon ka qarz raqmon se ada hota nahin ‘ḳhalid’
bahut asan hai ye kahna taqaza nahin karte
Leave a Reply