dil men un ko basa ke dekh liya
aag ghar men laga ke dekh liya
zindagani vabal-e-dosh hui
dil ki baton men aa ke dekh liya
ashk bhar laa.i hain miri ankhen
us ne jab muskura ke dekh liya
aur ab kis ka e’tibar karen
dil ko apna bana ke dekh liya
un ki aadat hai muskura dena
ham ne aansu baha ke dekh liya
ham ko jaadu ka e’tibar na tha
un se nazren mila ke dekh liya
ghuncha-e-dil kabhi khila hi nahin
barha muskura ke dekh liya
iḳhtisar-e-javab ke qurban
muskura muskura ke dekh liya
kaam aati nahin vafa ‘jami’
barha aazma ke dekh liya
Leave a Reply