• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jalwa Ayan Hai Qudrat-E-Parwardigar Ka

Jalwa Ayan Hai Qudrat-E-Parwardigar Ka

akbar-allahabadi

jalva ayaan hai qudrat-e-parvardigar ka

kya dil-kusha ye scene hai fasl-e-bahar ka

nazan hain josh-e-husn pe gul-ha-e-dil-fareb

joban dikha raha hai ye aalam ubhar ka

hain didani banafsha o sumbul ke pech o taab

naqsha khincha hua hai khat-o-zulf-e-yar ka

sabza hai ya ye ab-e-zamurrad ki mauj hai

shabnam hai bahr ya guhar-e-abdar ka

murghan-e-bagh zamzama-sanji men mahv hain

aur naach ho raha hai nasim-e-bahar ka

parvaz men hain titaryan shaad o chust o mast

zeb-e-badan kiye hue khilat bahar ka

mauj-e-hava o zamzama-e-andalib-e-mast

ik saz-e-dil-navaz hai mizrab-o-tar ka

abr-e-tunak ne raunaq-e-mausam badhai hai

ghaza bana hai ru-e-urus-e-bahar ka

afsos is saman men bhi ‘akbar’ udaas hai

suhan-e-ruh hijr hai ik gul-izar ka

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

seema-sharma-meeruthi

Roz Ek Rasta Badalta Hai

ahmad-faraz

Khwabon Ke Byopari

akbar-allahabadi

duniya Mein Hun duniya Ka Talabgar Nahin Hun

Tumhin Batao Tumhaara Hai Intizar Kise

poet

Puchho Na Ye Firaq Mein Kya Tera Haal Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet