dil men rahna kabhi ḳhvabon ke nagar men rahna
tum jahan rahna mohabbat ke safar men rahna
ḳhair-maqdam ke liye a.unga main bhi ik din
tum abhi silsila-e-sham-o-sahar men rahna
vaqt samton ke ta.ayyun ko badal sakta hai
tum mire saath mohabbat ke safar men rahna
mo.ajiza ye bhi hai is daur ke fankaron ka
aag se khelna aur mom ke ghar men rahna
fikr-e-sha.ir ke darichon se guzar kar dekho
kitna dushvar hai logon ki nazar men rahna
gharq hone se bache kitne safine ‘gauhar’
kaam aaya miri kashti ka bhanvar men rahna
Leave a Reply