dil men ho jo bhi bahr-e-ḳhuda kah liya karo
achchha nahin kaho to bura kah liya karo
ḳhun-e-jigar ko rang-e-hina kah liya karo
un ke sitam ko un ki ada kah liya karo
tahzib-e-gham ye kahti hai ḳhamosh lab rahen
ankhon se apni shikva gila kah liya karo
mumkin nahin hai dost gham-e-ishq se najat
ab dard ko hi dil ki dava kah liya karo
ye bhi ata hai us ki jise vo navaz de
ghazlon men tum bhi hamd-o-sana kah liya karo
zulmat-kade men karte ho kyon raushni talash
tarikiyon ko hans ke ziya kah liya karo
ahbab de rahe hain taqiyye ka mashvara
rahzan ko tum bhi rah-numa kah liya karo
rasman dua ko haath uThane se fa.eda
kuchh to dua men harf-e-dua kah liya karo
lab kholne ki tum ko ijazat nahin ‘suhaib’
ḳhamoshiyon ko dil ki sada kah liya karo
Leave a Reply