dil laga kar lag gaya un ko bhi tanha baithna
baare apni bekasi ki ham ne paai daad yaan
hain zaval-amada ajza afrinash ke tamam
mahr-e-gardun hai charagh-e-rahguzar-e-bad yaan
hai tarahhum-afrin araish-e-be-dad yaan
ashk-e-chashm-e-dam hai har dana-e-sayyad yaan
hai gudaz-e-mom andaz-e-chakidan-ha-e-khun
nish-e-zambur-e-asal hai nashtar-e-fassad yaan
na-gavara hai hamen ehsan-e-sahab-daulatan
hai zar-e-gul bhi nazar men jauhar-e-faulad yaan
jumbish-e-dil se hue hain uqda-ha-e-kar va
kam-tarin mazdur-e-sangin-dast hai farhad yaan
qatra-ha-e-khun-e-bismil zeb-e-daman hain ‘asad’
hai tamasha kardani gul-chini-e-jallad yaan
Leave a Reply