dil ko yaksui ne di tark-e-ta.alluq ki salah
ai umid-e-vasl-e-janan kya hai ab teri salah
jab jafa-ju ne taghaful se bhi ki qat-e-nazar
ho raza-e-yar par shakir ye hai dil ki salah
hosh men jalva dikhane se agar hai us ko aar
hai vida-e-hosh ki har haal men apni salah
naqd-e-jan dildar karta hai talab main kya karun
bandagi bechargi par ab to hai meri salah
manzil-e-ishq-o-fana karni hai tai sar-ta-ba-sar
sham.a ke manind jal bujhne ki hai meri salah
saaf kahta hai ki tu neki kar aur dariya men Daal
dil mira deta hai mujh ko aaj neki ki salah
be tamanna.i men ‘sahir’ main huun har-dam mere saath
duur kar dil se tamanna hai ye janan ki salah
Leave a Reply