dil ko gham-e-hayat gavara hai in dinon
pahle jo dard tha vahi chara hai in dinon
har sail-e-ashk sahil-e-taskin hai aj-kal
dariya ki mauj mauj kinara hai in dinon
ye dil zara sa dil tiri yadon men kho gaya
zarre ko andhiyon ka sahara hai in dinon
shamon men ab nahin hai vo pahli si raushni
kya vaqai vo anjuman-ara hai in dinon
tum aa sako to shab ko badha duun kuchh aur bhi
apne kahe men subh ka taara hai in dinon
Leave a Reply